Zindagi khoobsurat si yadein de jati hai aur ek hi pal me bas rula bi deti hai,
Zindagi kabhi railgadi ki tarah havaon ko cheerkar bas mutthi se ret ke tarah nikal jati hai aur dusre pal me aisa lagne lagta hai ki bas kahin ruk si gayi hai aur dhadkan bhi bas tham jati hai ............
Shayad zindagi isi ko kehte hai kab kya ho kaun jane
bas hum ek rasta chun lete hai aur zindagi bas usi tarah apne rukh se aage bad jata hai
Zindagi ki is safar hum aksar unhi logon ko yad krte hain jo kabhi na kabhi humare hoton pe ek choti se muskurahat lane me saphal ho gaye the ..............yahi bat toh zindagi ki sabse anokhi bat hai ki jinki yadein bi humare man me khushiyon ki jhalak lati unki sirf yadein hi reh jati hai kyunki zindagi ki yehi niyam hai ki insan toh aate jate rahenge bas ek hi cheez reh jati hai jo chalti hi rehti hai aur voh hai zindagi .................
Zindagi ek guru ke tarah hume seekh deti hai ,sahi marg chunne par prashansa krti hai aur galtiyon ke liye zor se thappad bi lagati hai.........sab toh yehi kehte hai aur han kuch had tak mai bi in baton par bharosa karti thi par aaj pata nai zindagi ke niyamo me shayad khot nazar aa rahi hai kyunki aaj me yeh zarur keh sakti hun ki zindagi ne mere dost ki sachayi dekhne se inkar kar di aur bas apne hi nischit kadmon par aage nikal gaye aur shayad unhe mere dost itne bha gaye ki use bi sath le gaye ...............Aashcharya ki bat hai kuch hi din pehle zindagi ne apne lehron ke sath hume kareeb le aaye aur bas do hi lamho me voh mujhse koson dur chala gaya ..........Lagta hai zindagi ko mazak karne ki aur mazak banane ki badi aadat hai...........par zindagi se kaise muh mod lu aakhir sach toh yahi hai ki sirf kehne ke liye har ek ki zindagi unki khud ki hai par asliyat me toh hum pata nai kisi aur hi ke mautaj hai!!!!!!!!!