Hai sehmi-si daastan meri
Maa tu to jaanti hogi
Dekh ke mera lahu kafan par
Maa tu bhi to roi hogi
Tujhe kya bataaun main maa
Sarhad pe maazra kya tha
Chaaron taraf laashein thi bikhri
Jeene ka aasra kya tha
Mujhe jab yaad aayi teri
Haath mein aayi tasveer teri
Aur sochta raha main bas yehi
Phir tujhse miloon na miloon
Phir main zinda rahoon na rahoon
Tha goliyon ka betahaasha shor
Is jang pe tha kiska zor
Maine khoon dekha saathiyon ka zameen par
Ek aah-si uthi dil mein kahin par
In dhamaakon ke beech
Dhuaan-dhuaan is manzar ke beech
Yaad aayi mujhe lori teri
Aur sochta raha main bas yehi
Phir tujhse miloon na miloon
Phir main zinda rahoon na rahoon
Shukrguzaar hoon uska jo mera khuda hai
Khush hoon ki maa tu mujhse juda hai
Na dekh paati tu apne lal ka khoon
Hoti tu bechain aur jaata tera sukoon
Tujhe maaloom hai main na peechhe hata tha
Aakhiri saans tak main maidaan pe data tha
Barso hue teri muskaan nahin dekhi
Yaad aayi jab muskaan teri
Sochta raha main bas yehi
Phir tujhse miloon na miloon
Phir main zinda rahoon na rahoon
Ab to aasmaan ka rang bhi lal tha
Bhookh-pyaas se sabka ajab haal tha
Tu nahin thi saath maa isi ka malaal tha
Tu hoti to kyun hote hoth ye sookhe
Zubaan bhi sookhi aur gale sabke sookhe
Koi teen din se the hum sab bhookhe
Jab pyaas lagi mujhe zoron ki
Jab bhookh lagi mujhe zoron ki
Yaad aaye tere aloo ke parathe
Yaad aayi mujhe roti teri
Aur sochta raha main bas yehi
Phir tujhse miloon na miloon
Phir main zinda rahoon na rahoon
Mujhe dushman ki goli lagi jab seene par
Shak hua tab mujhe khud ke jeene par
Aankhon ke saamne chhaaya andhera aise
Rooth chuka ho mujhse savera jaise
Marte waqt bhi meri zubaan par tera hi naam tha
'Maa' kehna hi mera ab aakhiri kaam tha
Jaane laga jab main duniya se
Ek aakhiri baar socha maine bas yehi
Phir tujhse miloon na miloon
Phir main zinda rahoon na rahoon
Meri kahaani gar kisi ko sunaana
Maa use tu itna zaroor bataana
Bhale kitne hon sarhadon par jhamele
Magar aakhiri dum tak wo jaan pe khele
Na ho wo majboor kabhi ye sochne par
Meri tarah kabhi ye bolne par
Maa main tujhse phir miloon na miloon
Phir main zinda rahoon na rahoon