umra key is padav par kya kisi
ke liye dil fir sey dhadak sakta hai?
kya wo sunahrey khayal sapno ki rangeen
duniya mein gotey laga saktey hain ?
ateet key un pannon ko jahan hum chor
kar aa gaye hain kya unko punah palta ja sakta hai?
kya koi itna kareeb ho sakta hai jiskey jaagney par aapki subah
aur jiskey soney sey aapki aankhein band hoti hain
zindagi ki tamaam uljhanon key baad bhi
uskey saath baaton ka silsila kya
uchit hai...in bhawnaon ko main kis
ki sangya doon, kya main kisi mansik rog ki shikar hun ?

Sign In to know Author