Aaj hai ek aant anant
Khatam hui hai ek jung
Nayi mushkilon ka paigaam hai
Ye dil ab viraan hai
Kaun the tum jab tum aaye
Iss dil mein ek aas jagaye
Sunaa mann ka aangan chehkaye
Iss dil mein ek nayi umeed jagaye
Tum the ek taufa uss rab ka mujhko
Tum the meri muskaan
Tum the meri dil ki dhadkan
Tum to hi the meri jaan
Samajh na aaya kab hum badle
Kab apnon ke matlab uljhe
Bus itna jab humko hosh tha aaya
Tab hum tum dono hi badle
Apno ki pehchan karayi ya
Tumne meri duniya uljhayi
Diye tumko maine aise zakhm
Jinka dard ab hi hai mujhko humdum
Iss baat ka tumko hai yakin
Maine diye tumko yaadein haseen
Unn yaadon ka karz tumko hai aaj chukana
Aaj mujhe tum bhul hi jana
Karo nai tum ab meri baatein
Todd do wo saari kasmein aur wo waadein
Kabhi nahi ab mere hona
Ab tum ho kisi aur ka sapna
Tumko churaya iss duniya se
Tumhari yaadein aaj bhi dil mein
Tumse mili jo saari khushiyan
Unka bayan hai aaj bhi harr pal mein
Inn jhuthi rasmon ki maanu
Ya maanu apnon ki
Parayon ka saath to tha nahi kabhi
Baat to thi tumhare apnon ki
Aaj bhi tanhaai mein
Iss baat ka zikar hai mann mein
Kab kya hota aur kaise hota
Tum agar hote sapnon mein
Agar kabhi humari raahein mil jayein
Kabhi do kadam hum saath badhayein
Kabhi tum se ek baat ho jaaye
Unn baton ka matlab samajh paayein
Aas hai tumhare saath chalne ki
Mere ladkhane tumhare sambhalne ki
Par pata kise hai daur kya hai
Waqt kahan hai, samay kahan hai
Iss bheed mein khone ki daud lagi hai
Sabne ki hai ab hume bharni hai
Apne raah tum chalte hi jaana
Mudkar mujhpe mat muskuraana
Duniya daari nahi samjhi iss dil ne
Jujjha hai badi mushkilon se
Nahi rok payega ab ye mann
Tumpe ya khud pe mit jaayega ab
Mat karna humari baatein
Purani hui ab wo mulakaatein
Kabhi tumpe kabhi humpe
Hasti hai ye zindagani ab sab pe
Badal nai hum the ye sakte
Par ab badlenge hum apni takdeerein
Aage nikalenge ek dusre se
Aur palteinge hum aapni tasweerein
Bahrosa nahi kabhi mujhe khudpe
Tumhari baton pe itna yakiin hai
Nahi todoge tum apna wada
Banoge apne sapnon ke
Milenge hum zarur ek din
Ab nahi to saalon baad
Saalon baad nahi to bharosa hai ye
Iss duniya ke baad hi tab
Jao ab apni yaadon ko lekar
Inn panon ka wasta hai
Mere apne to tum ho hi
Tumhe mera waasta hai
Ab nahi duniya ki sunni
Sunte sochte nahi ab sona
Jeeyenge hum ek din achi duniya
Dharm nahi karm ho jaahan
Uss jahan ki talash mein rehna
Yaad mein rakhna mujhko bhi
Agle janam mein jo ho jaaye
Banna tum mera sapna hi
Jeyenge Jeeyenge!