Aaj phir ek baar aankh bhar aayi,
Jab yaad hume ghar ki aayi,
wo khula khula sa aangan
jahan hum apne bhaiyo k saath khoob daud bhag machate the,
Aur dadi ke saath tarah tarah ke achaar aur papad sukhate the,
aati thi bua aur mausi jab ghar,
lekar aati thi sabke liye khilone bhar bhar.
Yaad ati hai dadi k banayi hui poori kachori
kaise bhool sakti hun nani ki banai hui kheer, laddoo aur mathri.
Nana ki ungli pakkad kar chalna seekha
to wahi dadaji ke peeche scooter par baith kar poora sheher ghooma.
Pyari si chachi sulati thi sab bachon ko gaakar mithi lori,
Pariksha mein safal huye the to chacha dete the humko khoob sari chocolate aur toffee.
Papa shaam ko daftar se akar khelte the cricket aur football hum sabke sath,
phir le jate th ghoomane mele aur haathi wala park.
Ma...kaise bhool sakti hun tumhe mai.....tumse to meri saari duniya hai,
Aaj phr yaad aayi tumhari pyar bhari jhappi hai.
yaad aati ho tum bahut door is desh mein,
samet rakhi h bachpan ki saari khatti meethi yaadein apne mann mein.
Beet gaya bachpan, bade hogaye hum,
jeevan mein aage badh, aur naye logon se jud gaye hain hum.
phir bhi jab jab yaad aata hai apna sunehra pyara sa bachpan,
Aankh bhar aati hai yeh soch ke ki chhoot gaya wo angan.