Pichli shab ki tanhai mey ..
Yaadon ka aik album nikla ..
Guzrey maho saalon mey
Jis k safhey safhey per
Her chehra kuch khta tha ..
Kuch tasveerein dhundli thiin bohat
Kuch ka chehra shanasa daikha..
kuch ki aankhein shab ka ujala
Kuch ka chehra dhuwaan dhuwaan …
Kahan kis ney saath nibhaya tha ..
kahan kis sey dhoka khaya tha
Her ik chehra ik baab tha jaisey .
Jin chehron ko sung sung chalna tha
Zindgi ko guzerna tha..
Unhiin chehron sey dhoka khaya tha..
khud ko jaisey gunwaya tha…
gumaan yuun hua tha jaisey
woh jo aansoo’on sey bheegi kuch tasveerein thin
soi hui taqdeerein theen
zindagi k bisaat per ujrey huey
merey khwabon ki taabeerin thiin …!!
Tags:
Sign In
to know Author
- MONA JALEES
Comments (7 so far )
Author
thanx :)
January 15th, 2013
yaadon ke umar se ladayi karne ki taakat humare zindagi ki umar me nahi hai...
u can kill ur life...but not ur memories!!!
keep it up...
u can kill ur life...but not ur memories!!!
keep it up...
January 15th, 2013
Author
thanx all
January 16th, 2013
tab pata chala ki beetein lamho me reh jaati hain toh sirf yeh saari yaadein...!
hum-aap toh bas adaakaar hain khuda ki aazmaish me...
apne maghroor kirdaar ke sang iss mulaqat me...jab khud ko dhoondne ki koshish ki...
tab pata chala ki hum khud ko khote nahi...kho jaati hai toh sirf humari yaadein... !
--Sufi Shagird