Woh zindegi kya jis me tum nahi,
Woh dil kya jis ki dhadkan nahi.
Sirf saans lena hi jeena nahi hota...
Woh neend hi kya jis me koi sapna nahi.

Raastein toh bahut hai chalna lekin;
Woh safar hi kya jis me koi saath nahi.
Chal rahi hoon ek andhere sadak par...
Woh raastan hi kya jis ki koi manzil nahi.

Jeevan ke is sukh aur dukh ki sagar mein,
Mein Chali ek kashti lekar.
Beech samundar mein pahunch kar
Mujhe kya pata tha ki iss ka koi kinara nahi.

Par umeed toh abhi bhi hai is zindegi se,
Milungi ekdin apne manzil se.
Zindegi hai toh manzil zaroor hogi,
Lekin aab yeh pata hai ki....
Woh zindegi toh hai bas iss mein tum nahi.

Sign In to know Author