na jaane kya chahti hai woh..na jaane kya sochti hai woh..
na jaane kya is duniya mein dundhti hai woh..
kabhi hans deti hai bina kisi baat ke..kabhi yun hi ro deti hai woh..
muskurana uska khilte phool sa hai fir udaas kyun hi hoti hai woh..
gumshum si ho jati hai ek pal bhar mein hi..agle pal khil-khilati hai woh..
khamosh si hansi hai uski..par jab hansti hai toh hazar dil bahalati hai woh..
gam ka saaya bhi durr chala jaye usse..aisi meethi baatein sunati hai woh..
andherein mein ujale ki tarah apni aadayon ka jaadu dikhati hai woh..
chehre mein uske noor hai..par is baat ka guroor nhi dikhati hai woh..
chaand-taaron ki baatein krti hai par insaano se gabhrati hai woh..
khubsurat hai..pari si hai..hazaar taraane dil mein ched jati hai woh..
bholi si surat hai uski..ajeeb sirat hai uski..ladki anjaani kahlati hai woh..

Tags: Romantic, Poetry

Sign In to know Author