Mehke se hain andaaz uske,
Jaane khuda hi, hain kya raaz uske...
Uski aankhon mein, baaton mein,
Uske khayaalon mein,
Laakhon sawaalon mein
Main kho gaya...
Uski aankhon ke kaajal mein,
Zulfon ke baadal mein,
Khwaabon mein jaane ko
Main so gaya...
Mujhe kya ho gya...?
Aaye jo milne toh laaye khushi,
Ek ye bhi sukoon hai...uski hasi...
Bilkul jannat ka noor jaise,
Mera kasoor kaise,
Usme jo dhoondhoon main apna jahaan...
Paak fiza si wo,
Meri dua si wo,
Rehti thi paas hi,
Ab hai kahaan...?
Main tanha yahaan...!
Chaand sooraj karein jiski chaahat wo hai wo...
Karoon main jiski har waqt ibaadat wo hai wo...
Kabhi muskaaye, itraaye,
Has de, phir sharmaaye,
Meri jaan se kam toh wo lagti nahin...
Sangmarmar ki moorat hai,
Aisi jo soorat hai,
Shayari hai wo, rab ne likh di yahin...
Wo mujh mein hi kahin...!
Haan wo saath rahi hai,
Abhi paas nahin hai,
Par...mujh mein hi hai kahin!!
Haan...mujh mein hai kahin!!!