ye meri gajalein,ye meri nazmein,tamam teri hikaytein hai,
Ye dashkare tere lutf ke hain,ye sher-o-sayeri sab teri shikayatein hain!
Main sab teri nazr kar raha hoon,ye un zamano ki shahdte hain.jo jindagi ke naye safar mein,tujhe kisi waqt yaad aaye!
To ek ek harf jee uthega,pehankar alfaaz ki kabayein,udas tanhayion ke lamho mein,naach uthengi afsharayein!
Mujhe tere dard ke alaaba ,aur bhi dukh the ye maanta hu.hazaar gam the jo jindagi ki; talash me ye jaanta hu!
Mujhe khabar thi teri aanchal me,apne dard ki ret ko chaanta hu!
Magar phir ek baar tujhe chu kar,ye rang-ye-hina bani hai,ye zakhm gulzar ban gaye hain,ye aankhen shoza ghata bani hai!
Ye dard mauje saba hua hai,ye aag dil ki sada bani hai!
Ye dukh ke nagme,ye sukh ke nagme,jo kal mere the,wo ab tere hain!
Jo teri kurbat teri hi judai mein,kat gaye jo roze sab tere hain!
Wo tera saayer wo tera mohannim,wo jiski baatein azib si thi.jo jiske andaaz khushrubana,aur adaayein garib si thi!
Wo jiski jeene ki khawhish bhi,kud apne nasib si thi.
Na puch uska ki wo deewana,bahut dino se ujar chuka hai.wo faulaad nahi tha lekin,kayi chataano se lar chuka hai.
Wo thak chuka hai aur uska tesha,usi ke seene me gar chuka hai.
awesome shayar...(y)
:)