Main jab bhi
zindagi ki chilchilati dhoop mein tapkar
main jab bhi
duusro ke aur apne jhoot say thak kar
main sabse larh ke khud se haar ke
jab bhi us ek kamray mein jaaata tha
wo halke aur gehre katthaii rangon ka ik kamra
wo behad meherbaan
jo apni narm mutthi mein mujhe aise chhupa leta tha
jaise koi maa
bacche ko aanchal mein chhupa le
pyaar se daante
ye kya aadat hai
jalti dopehar mein mare-mare ghuumte ho tum

wo kamra yaad aata hai
dabeez aur khaasa bhaari
kuch zara mushkil se khulne waala
wo sheesham ka darwaaza
ke jaise koi akkharh baap
apne khurduray seene mein
shafqat ke samandar ko chuupaye ho
wo kursi
aur uske saath wo judwaan bahen uski
wo donon
dost thiin meri
wo ek gustakh munhphat aaina
jo dil ka accha tha
wo behangam si almari
jo kone mein kharhi
ek boodhi anna ki tarah
aaine ko tambeeh karti thii
wo ek guldaan
nanha sa
bahut shaitan
un donon pe hansta tha
dareecha
ya zahanat se bhari ek muskurahat
aur dareeche pe jhuki wo beil
koii sabz sargoshi
kitabein
taakh mein aur shelf par
sanjeeda ustaani bani baithiin
magar sab muntazir is baat ki
main unse kuch poochuun
sirhane
neend ka saathi
thakan ka charagar
wo narm-dil takiya
main jiski goad mein sir rakh ke
chhat ko dekhta tha
chhat ki karion mein
na jane kitne afsanon ki karian thiin
wo chhoti mez par
aur saamne deewar par
aawezaan tasveerein
mujhe apnaiyat aur yaqeen se dekhtiin thiin
muskuratiin thiin
unhe shak bhi nahiin tha
ek din
main unko aise chhod jaoonga
main ek din yun bhi jaoonga
kay phir wapas na aaoonga

main ab jis ghar mein rehta hun
bahut he khubsurat hai
magar aksar yahan khamosh baitha yaad karta hun
main jab bhi
zindagi ki chilchilati dhoop mein tapkar
main jab bhi
duusro ke aur apne jhoot say thak kar
main sabse larh ke khud se haar ke
jab bhi us ek kamray mein jaaata tha
wo halke aur gehre katthaii rangon ka ik kamra
wo behad meherbaan
jo apni narm mutthi mein mujhe aise chhupa leta tha
jaise koi maa
bacche ko aanchal mein chhupa le
pyaar se daante
ye kya aadat hai
jalti dopehar mein mare-mare ghuumte ho tum

wo kamra yaad aata hai
dabeez aur khaasa bhaari
kuch zara mushkil se khulne waala
wo sheesham ka darwaaza
ke jaise koi akkharh baap
apne khurduray seene mein
shafqat ke samandar ko chuupaye ho
wo kursi
aur uske saath wo judwaan bahen uski
wo donon
dost thiin meri
wo ek gustakh munhphat aaina
jo dil ka accha tha
wo behangam si almari
jo kone mein kharhi
ek boodhi anna ki tarah
aaine ko tambeeh karti thii
wo ek guldaan
nanha sa
bahut shaitan
un donon pe hansta tha
dareecha
ya zahanat se bhari ek muskurahat
aur dareeche pe jhuki wo beil
koii sabz sargoshi
kitabein
taakh mein aur shelf par
sanjeeda ustaani bani baithiin
magar sab muntazir is baat ki
main unse kuch poochuun
sirhane
neend ka saathi
thakan ka charagar
wo narm-dil takiya
main jiski goad mein sir rakh ke
chhat ko dekhta tha
chhat ki karion mein
na jane kitne afsanon ki karian thiin
wo chhoti mez par
aur saamne deewar par
aawezaan tasveerein
mujhe apnaiyat aur yaqeen se dekhtiin thiin
muskuratiin thiin
unhe shak bhi nahiin tha
ek din
main unko aise chhod jaoonga
main ek din yun bhi jaoonga
kay phir wapas na aaoonga

main ab jis ghar mein rehta hun
bahut he khubsurat hai
magar aksar yahan khamosh baitha yaad karta hun
wo kamra baat karta tha.......

Sign In to know Author