Wo din bhi aayega
Jab uthenge saare baashinde
Aur haath se haath milaayenge
Wo din bhi aayega
Wo din bhi aayega
Jab Hindu-Muslim hokar ek
Aman ke taraane gaayenge
Wo din bhi aayega
Wo din bhi aayega
Jab ameer garib sab bhool kar
Faasle apne mitaayenge
Wo din bhi aayega
Jab zaleel ki zalaalat pe
Shareef ungli uthaayenge
Wo din bhi aayega
Wo din bhi aayega
Jab tang aa chuke mazloom
Chain ki neend so jaayenge
Wo din bhi aayega
Wo din bhi aayega
Jab bhookhe aur pyaase log
Do waqt ki roti khaayenge
Wo din bhi aayega
Wo din bhi aayega
Jab sarhadon ko bhool kar log
Dosti ka haath badhaayenge
Wo din bhi aayega
Wo din bhi aayega
Jab mere khyaalon ko sunkar
Log wahi khyaal banaayenge
Wo din bhi aayega
Tags:
Sign In
to know Author
- FAROOQ JAMAL