Kal bas yuhi Shaam ko talhte talhte kahin dur nikal gaya...
Peche Mudke dekha to rasta anjaan sa laga...
Paas hi ek basti thi vahan jake pucha to paya nayi Basti ki aur chala aaya hu...
Bas abhi kuch waqt pehle hi bahut suna tha TV pe is nayi Basti ke baar mei..
Chalo aaj dekhne ki mansha bhi puri ho gayi...
Par sab apne Basti sa hi laga kuch alag tha to bas logo ka kad...
Aalishan Imartein, chakachaund karti roshni ne nahaya seher...
Vaise ek baar ko Newyork ho aaya tha mei..
Par apni basti se kuch dur ye nayi basti dekh mei hairaan tha..
Kuch aur aage gaya to us nukkad ko dekh yaad aaya hamare hamam bhai ki dukan hua karti ti yahin...
Haa kuch baras pehle yahin ki chai se din ki shuruat hoti thi...
Aaj yahan paanch sitara hotel ban gaya...
Thoda nazdik gaya to dekha Hamam bhai apni mohtarma ke saath khade hai aur kuch log unki tasveer nikal rahe hai...
Nikalnege bhi kyu nahi ek Newspaper mei padha ta ki aaj desh ke jaane mane rahiso mei gine jaate hai...
Meri ek awaaz pe daude chale aate te kuch baras pehle ye vahi hamam bhai hai vishwas nai hota..
Tabhi ek aawaz aayi Are Junaid tum..
Mei bas aadab karte reh gaya ki hamam bhai ne gale laga liya..
Aur kehne lage gale lago yaar 25 baras ho agye dekhe kahan ho barkurdaar aajkal...
Mei kuch bolta usse pehle hi bol uthe ye hamari begum hai abhi pichle baras hi shaadi hui hai...
Aur apni begum ko kehne lage yahi hai junaid jo roz subah hame angrezi padhya karte te...
Mei fir soch mei pad gaya aaj bhi kahin insaniyat aur khudaari baaki hai..
Varna to bas yahi suna tha kad badhne ke baad log aksar chhoton ko bhul jaya karte hai..
Bas aap yahi maan lijiye ki soch mei raat beet gai aur unhe yaad kijiye jinhe aap kahin bhula chuke...Khuda hafiz