Vo ek pal jindagi mei aisa aata hai,
Jab sab haarke insaan hatash ho jata hai....
VO pal na jane kyun insaan ko baar baar khud se hi milvata hai,
Na jaane kitne ankahe savalon ke jawab mang leta hai....
VO jawab na jane kyun fir kch naye saval chod jate hai,
Jinka jawab ye jindagi fir jeekar b nai de pati hai...
Aisi mei ek khamoshi cha jati hai aur insaan khud ko hi dhundne lagta hai....
Har sheeshe mei apni parchaai khojta hai,
Par ye akelapan use andar hi andar khaye jata hai....
Aur mayus ho vo kuch aisa kar jata hai ki jinadgi khamosh ho jati hai..
Aur ek lambi neend mei so jati hai...
Aur vo pal tham jata hai....

Sign In to know Author