kya hai in udaas aankhon ki kahaani
hai koi raaz kya beete kal ka
ya koi dard-e-dil kisi paagal ka
koi to samjha de in aankhon ki zubaani

kya koi ghayal armaan hai andar
hai koi kya gumon ka samandar
hai ye aankhon ki badi beimaani
kaise mai samjhun in aankhon ki zubaani

kyon kai in sundar palkon par paani
ya hai kuchh gujre palon ki yaadein
ya fir kisi bewafaa ke waadein
zara bataa bhi de koi inki kahaani

saaf jhalakta hai dard ankhon mein
muskaan ke peeche dabi aahon mein
badi ajeeb hai ye pareshaani
koi to samjhaa de in aakhon ki zubaani

Sign In to know Author