Jab chale hi jana tha fir se,
Toh tum wapas aaye hi kyun..
Mujhse do baatein karke tumne,
Ummeedon k chiraag jalaaye hi kyun..

Maine yaadon k sheeshmehel Ko,
Waqt k kisi puraane khandahar me dafnaaya tha.
Har purani cheez ko alvida kehke,
Ek nayi zindagi ko apnaya tha.
Khushhaal na sahi, par zinda thi main,
Akhiri saans churaane tum aaye hi kyun.
Tumne aakar uss khandahar me,
Itne roshandaan lagaaye hi kyun..
Jab chale hi jana tha fir se,
Toh tum wapas aaye hi kyun..
Mujhse do baatein karke tumne,
Ummeedon k chiraag jalaaye hi kyun..

Fir usi shoonya sannaate me,
Khudko til-til marte dekhti hun.
Abhi bhi ummeed kahin baaki hai,
Kabhi darwaaze ko, kabhi phone ko dekhti hun.
Tumhe wapas laane me nakaam rahe yeh fir se,
Maine itne ashq bahaaye hi kyun.
Iss sheeshmehel me aaj fir se baithi hun,
Mujhe yahan tak wapas laaye hi kyun?
Jab chale hi jana tha fir se,
Toh tum wapas aaye hi kyun..
Mujhse do baatein karke tumne,
Ummeedon k chiraag jalaaye hi kyun..

Sign In to know Author