theher jao!!!
zara kuch der mat jao!!!
abhe palkein nahin bheegeein
abhe lab bheench lenay doa
nahe khud ko chhala ab tak
kahaani seench lenay doa
zara mein khud ko uljha lun
wajeh pa lun udaasi ki
udaasi ko zara koi sabab de dun
theher jao!!!
zara mein khud ko zakhma lun...
toa phir beshak chalay jana...

kaee raahon se guzra hun
kaee rastoan pe bhatka hun
kaheen pathar k zeenon par
kabhi sheeshay ki sarkoan pe
kai pagdandiyon ki dhool mein chhat kar jiya hun mein
Mein tum se yeh nahin kehta
keh tum hi meri manzil ho!!!
magar meri musaafat ko Koi pal bhar ka ghar de doa
koi ik moar ban jao
mujhe koi dagar de doa!!!
agar yeh bhe nahin mumkin
toa meri beqarari ko
badan ki iss thakaawat ko
bhalay mubham koi dhoka
koi chhal doa magar de doa!!!
mein thori der jee lun ga
teray mubham saraaboan k faqat kuch ghoont pee lun ga
bhalay phir tishnagi dena!!!
mein thori der sasta lun
toa phir beshak chalay jana...

bohat be-beher awaazein meray misroan mein goonji hain
meray maanoos harfoan mein kaheen kuch ajnabi pan hai!!!
Mujhe kehna bohat kuch hai
Magar mein keh nahin sakta!!!
Mein kya bolun?
Mein kyun bolun??
Mein kis k waastay bolun?!!!
Mein apnay khokhlay lafzoan mein aksar yun khanakta hun…
Keh bas khamosh reh kar unkahi ki simt takta hun…
Agar tum mil sako shayed
Toa phir sahyed koi gham ho…
Meray ashaar sun kar phir kisi ki aankh purnam ho!!!
Mujhe maqrooz kar dalo
mujhe koi Leher de doa
koi armaan chhalka kar
mujhe mera beher de doa!!!
Tumhein nazmoan mein dhaalun ga…
Kai ghazalein bana lun ga
Mein jab apnay khyaaloan mein behel jaun
Chalay jana!!!
Mujhe ik mukhtasir see visl ki aahat se chonka kar
Musalsal hijr ki lazzat ka goa koi gumaan de doa!!!
Toa phir beshak chalay jana!!!

koi har roz meray ainay k band dareechay se mera hum aks hota hai
woh kehta hai keh mein tum hun
magar yeh kesay mumkin hai
woh chehra mera chehra hai toa phir us aagahi ka kya
jissay mein ne Khudi k naaam per seencha hai barsoan mein
mein kya apnay tasaawwur se raha hun ajnabi ab tak
agar meri haqeeqat woh hai jo in se jhhalakti hai
toa yeh aainay jhootay hain
ya in k zard chehroan per mera chehra nahin banta
yaa meri muthiyon mein rait ke kanchay nahin thamtay
mujhe MATTEE ka sheesha doa
agar tum aina ho lo toa mein uss mein sanwar jaun
tumharee khaak k har zaawiye mein goa bikhar jaun
magar mujhko tulooo mil jaye barsaon baad ghar jaun
mujhe tum mujh se milwa doa toa phir beshak chalay jana

Tags: Poetry

Sign In to know Author