Thand ki hawayon sang aaj mene masti ki
Razai me chupkar fir unse kushti ki
Vaar kia unhone, mara mujhe jhoko se
Roka unko mene, bhaag nikla me chupke se
Picha kia mera, gher liya mujhko fir
Dekh kar muskai boli ‘aaj nahi bachoge bhai’

Sweater pehna, baandha muffler, main bhi hua ladne ko taiyaar
Tu- tu Main-main, Utha- patak hui, shuru ho gai ye jung aaj
Sheet lehar tha bhala uska, meri thi dastano ki dhaal
Barfili thapki ke aage, kamzor pad gaye mere hathiyaar
Dher hua main thand jeetne lagi, reh gaya baaki bas 1 vaar
Angithi ka sahara lekar, di fir mene thand ko maat

Jashann tha, jeet thi, haath me thi 1 cup coffee
Fir shawl ko gale lagakar kheli mene, neend sang aakhmicholi
Thand ki hawayon k pass ab koi thikana na tha
Mujhse ladai karne ka ab koi bahana na tha
Ziddi hai, fir lot kar aaygi, apni taakat firse aazmaygi
Ladenge hum, fir kushti karenge, ek- duje sang yuhi fir masti karenge…..

-Abhi

Sign In to know Author