khaamosh raato ki cheekhti daastaanain...
pur sukun mojo me jese chupa sailaab....
thanday koylay me jese ho aik chingaaari baaqi...
jhoot bolta huwa saadiq aaina....
muskuraatay labo k peeechay hazar ranj.....
dharaktay dil me basi ho jese hazar haqaratain.....
gallay miltay hon jese dushman .....
raqabat karte hon jese dost.....
tez dortay huwi larkharati taangain....
door ki baseerat wali kamzor aankhain.....
rulati baatain, meethi baatain.....
aik chehray k peechay hazar chehray....
aik aik faislay me laaakho garz.....
chubtay huwe saada lafz....
muhabbat karti haqeeer nazrain...
berang c aik dhanak..
be-sur c aik tarana..
khaaamoshi aik lalkaar...
jahalat bhara ilm...
bina muhabbat ka aik dil....
sukun ka taaaalib baadsha...
sukun se mala maal ek malang...
dhuwaan hoti aag....
weeeran c ek dunya aaabaaad....
or zindagi se mukammal ilhaaad...
hansi hai aaarhi...
dekh dekh k ye
aik zindagi k dhero tazaaad......

Sign In to know Author