is mashroof zindagi mein
ek pal sukoon ki talaash hai
aur hauslon me jaan daalne ko
ek naye junoon ki talaash hai

kaid hai dariya dil ke andar
us dariya ko sahejne ko
ek samandar ki talaash hai
jo udaa de ghumon ke badal
us bawandar ki talash hai

Dar jaate hain din ke ujaale mein
aur ghabra jaatein hai roshni se
ab andheron se dosti ko
kisi raat ki talaash hai

jo tod de khamoshiyon ki deewar
us baat ki talaash hai
jal kar ho gaye rakh ye armaan
ab bas kuchh umeed hai baaki
us umeed ke beej dhundne ko
us raakh ki talaash hai

jo jala de bandhan ki rassiyan
mujhe us aag ki talaash hai
ho gaya hoon gumraah main
kho gayi hain manzilein
us manzil ko paane ko
nayi raah ki talaash hai
us safar me jaane ko
ek humraah ki talaash hai

Tags: Poetry

Sign In to know Author