raat k dedh baj rahay
taaray badalo k od chup gaye
badal kuch sehmay se garaj rahay
boondain baarish ki gir rahi
zameen boondo se kuch chir rahi
faisla phir kuch is trha haq ka huwa
baarish or zameen k wisal se
shuru silsila mehak ka huwa
ab baarish bhe muskuraai
zameen bhe leti rahi khushi se angraai
ab dono aik doojay me sama gaye
raghbat aik doojay ko batla gaye
or
pankha tha aik mere samne khara huwa
hawa ko morta huwa yak-simt karta hua
shu shu me kuch bolta hua
faryaaado ki jese ghatri kholta hua
jese mujhe kuch israr se karna ho is ne aashna
jese koe bata rha ho apni ek ek arzu,ek ek tamana
jab kuch samajh na aya is dost ka sawal
to udhr idhr se aya aik or khayal
shab me shab k jaandaro ka hai shor bapa
andhera roshni me hai dhapa chupa
par
aankhain hain neem khuli khuli
tabiyat bhe hai kuch dhuli dhuli
khayal kaafi hai saaf saaf
dharkanain hain aas aas
awaaz hai saaz ab
sun'ne ka aghaaz ab
par kia sunu?
kahan kaan dharu?
kis sada ki rah par chalu?
phir dimagh bola
Ae dil
main hogaya dher khayalo me
ab kuch kar rehm kuch tu he bta
bus phir kiya
huwa ,bilkul sahi huwa
dil se bus itni c aayi sada
"shukriya Ae khuda "
"shukriya Ae khuda"