Yeh meri ghazalein, yeh meri nazmein, tamaam teri shikaayatein hain…
Yeh dashkarein tere lutf ke hain, yeh sher-o-shaayari sab teri shikaayatein hain!
Main sab teri nazar kar rahi hoon, yeh unn zamaanon ki shahaadatein hain, jo zindagi ke naye safar mein, tujhe kisi waqt yaad aayengi!
Toh ek ek harf jee uthhega, pehankar alfaaz ki kabaayatein, udaas tanhaayion ke lamhon mein, naach uthhengi apsaraayein!
Mujhe tere dard ke alaawa, aur bhi dukh thhe yeh maanti hoon, hazaar gham thhe zindagi ki talaash mein yeh jaanti hoon!
Magar phir ek baar tujhe chhookar, yeh rang, ye henna bani hai, yeh zakhm gulzaar bane hain, yeh aankhein shokh ghataa bani hain!
Yeh dard mauj-e-sabaa hua hai, yeh aag dil ki sadaa bani hai!
Yeh dukh ke nagmein, yeh sukh ke nagmein, jo kal mere thhe, woh ab tere hain!
Jo teri kurbat teri hi judaai mein kat gaye jo roze, sab tere hain!
Woh teri shaayaraa, woh teri mohannim, woh jiski baatein ajeeb si thin, jo jiske andaaz khushrubaana, aur adaayein gareeb si thhin!
Woh jiski jeene ki khwahish bhi, khud apne naseeb si thhi!
Na poochh uska ki woh deewaani, bahot dinon se ujad chuki hai, woh faulaad nahi thhi lekin, kaiin chattaanon se lad chuki hai...
Woh thhak chuki hai aur uski rooh, usi ke seene me gad chuki hai…!!!