yeh kesa shauq e bismil hai...
keh jab bhe chot lagti hai...
tamanna aur barhti hai...
junoon phir sar uthata hai...
nayi ik chot khany ki
tamanna jaag uthti hai...
yeh kesa shauq e bismil hai...
keh jis ka chot hi aaghaz bhi anjaam bhi paiham
keh jis ka chot hi fitna, maseeha bhi khud hi marham
Khud hi Daata khud hi Saail,
Sitamgar bhe khud hi Ghaayal,
khud hi ik abroo-e-Gustaakh,
khud hi deeda-e-purnam,
so har soo dard ka mara zarar ka chara chunta hai...
dar-e-yaraan dharaa so hijr k azaar chugta hai...
yeh kesa wisl-e-beparwah,
yeh kesa daarkash sukh hai
yeh kesa tishnagi ka jaam,
kesa shauq e bismil hai...
Saji
Tags:
Comments (3 so far )
SUFI SHAGIRD
behtareen...(y)
December 17th, 2013
Author
shukran :)
December 17th, 2013