aaj kuch likhne ko jee chahta hai.
tu jo dil me barson se hai,
tujhse bicchad kar bhi tujhe jeene ko jee chahta hai.
woh tamaam pal, jo guzre tere pyar me
un lamhon ko phir se jeene ka jee chahta hai.
tujhse bichhad kar ro chuke, tujhse bichhad kar hans chuke,
ab tera sath paane ko jee chahta hai.
woh jo sath tha tera, mere jeevan ka aadhar hai ab
par ek aas hai thodi si, aur ab bas tera sath chahta hai.
tujhe dekhta hun, to masoomiyat par aaj bhi mohit hota hun,
tera mom sa chehra mujhe, ab bhi pighla deta hai.
ab fir wahin aa pohcha hun, jaha se sab shuru hua,
ab fir wahin aa pohcha hun, jahan se tu meri hui.
aaj fir wahi aalam hai, ki shabd nahin hain tere liye,
aaj fir wahi aalam hai, tum kahoge ki kya khoob kaha.
ab aur bhi mushkil si ho jati hai,
ab kya likhun tujhe yaad karke, mere liye tu ye aseem shristi hai.
par, aaj likhne ko jee chahta hai,
tujhe yaad karna chahta hun, aur bas muskurana chahta hun.
kuch purane shabd tere, aaj fir se kaanon me goonj gaye,
wo hansi jo mujhe aaj bhi mugdh karti hai.
dur hain sabse, dur hain tujhse,
par ab lagta hai jaise jaanta hun humare rishte ko.
samjh nahi paaya to bas kuch baatein, jinki shikayat ab bhi hai khuda se.
tumhare sath bitaaye hue wo chand lamhe, jo bayaan nahi hote,
na likhe jaa sakte hain, par fir bhi aaj kuch likh dene ko jee chahta hai.
ab aankhon me kuch nami si hui hai, shaayad baarish ho,
hum fir milen, fir kabhi na juda hon.
ab bhi likhne ko jee chahta hai, par ab thodi himmat chahiye,
aur ek behtar shabdkosh.
This is the first poem I've written.
Is it any good?