Ye lakeer jise sab kehte hain 'Sarhad'
Ye lakeer kyun hai?
Isne baant diya hai do mulkon ko
Ye daayra kyun hai?
Main poochhta hoon ye sarhad kyun hai?

Beh rahi hain jo hawaayein
Wo idhar bhi hain aur udhar bhi
In hawaaon ka koi mazhab nahin
Na hi inhein kisi sarhad se matlab hai
To phir ye daayra kyun hai?
Main poochhta hoon ye sarhad kyun hai?

Ye jo udte panchhi hain
Inka to koi daayra nahin
Hain udte ye us khule aasmaan mein
Jo idhar bhi hai udhar bhi
Phir kyun paida ki hai humne
Aasmaanon mein daayre
'Ye mera aasmaan, ye tumhaara aasmaan' kehkar
Kyun ladte hain hum?
Is aasmaan ka daayra kyun hai?
Main poochhta hoon ye sarhad kyun hai?

Na hi behti nadiyon ka daayra,
Na hi mausiqee ka daayra,
Na poshaakon ka koi daayra
Aur na hi khayaalon ka koi daayra
Phir humne kyun
Apni zameen ke do tukde kar diye hain
Hifaazat ke naam par
Ek sarhad bana di hai
Ye daayra kyun hai?
Main poochhta hoon ye sarhad kyun hai?

Sign In to know Author