Seedhiyon pe chadhti tumhaare kadmo ki aahat
Narm paaon ke bojh tale muskuraate paaydaan
So rahe paudhon mein bhi kuch harkat hone lagi
Abhi to aayi ho aur samaa tumhaara mehmaan ban gaya
Raat ke andheron ke beech ek chehra tumhaara
Subah ke ujaale mein tumhaara roshan jism
Khidkiyon se tange parde bhi jhoom uthe hain
Abhi to aayi ho aur samaa tumhaara mehmaan ban gaya
Waqt ki nok pe atki hai meri saans
Us pal ko dekhkar jismein tum ho mere saamne
Nabz bhi so gayi hai lambi daud ke baad
Tumhe dekhkar hawa bhi kuch thehri si hai
Abhi to aayi ho aur sama tumhaara mehmaan ban gaya
Ek tukda mohabbat ka dil pe jo rakha jaaye
Ehsaas kuch tumhaare, mere bhi jazbaat ho
Lamha-dar-lamha faaslon ka ghaata ho
Jaise chaand ke kareeb aa gaye hain kuch sitaare
Ye chaandni bhi aaj mere hi ghar ruki hai
Abhi to aayi ho aur samaa tumhaara mehmaan ban gaya