Mann mein lipte sawaalon ke saath
Main utha apne bistar se
Aur nikla hoon chand ummeedein liye
Sach ki talaash mein

Kya hai sach ye kise pata?
Sab to jhooth ke pyaale hain
Sach ko apna kaun kahe?
Aaj ye kiski taqdeer mein hai?

Wo koi adhmara sa jeev
Sadak pe hai pada
Dekho wo shaayad sach ho
Apne wajood ko iss duniya mein
Dhoondhta hua

Sach ko dekha hai kisi ne?
Suna hai ye sirf ek bhram hai
Zinda ho jab tak sach na milega
Kyunki zindagi ka ant hi zindagi ka sach hai

Par main kya dekhta hoon ab
Duniya ke is kue se
Kai jhooth hain ubhar rahe
Kuch daudte, kuch rengte
Kisi tarah wo badh rahe hain aage
Hai hukumat inki is kue pe
Aur in sab se neeche
Daba hua, bebas, laachaar
Mayoos aur akela, doob raha hai
Sach

Sign In to know Author