khamosh rehne ki adat nhi gyi tumhaari
aaj bhe karti hai teri baali baatain saari

aaj bhe hum deed ko jaagay aadhi raaat
or tum wohi parda kiye karti rahi dunya-daari

aj bhe subh saari shabnam the rashk khati
us shabnam par jo the teri zulfo se jaari

aaj bhe gul murjha thay gae teri mojoodni me
teray rang wa mehk se the unpe hasad ki kaifiyat taari

dunya se jo huwa munqata tere ishq me main
log kehtay isay mera takabar main kehta hun inkisaari

log manatain maangte rahy zindagi k liye
hum ne tumhe maanga...zindagi haari

chal tere khayal se ab karte nahi zid
dharkan tumhari,soch bhe tumhari ....

Sign In to know Author