yahan saanchay hain..bohat se saanchay...
soch k saanchay,
afkaar k saanchay,
tasawaraat k saanchay,
khayaaalat k saaanchay...
or yeh saanchay kuch khaas logo k paas hain ya yun kehye un k qaaabu me hain...
or phir hota yeh hai k yeh khaas log aam logo ki soch ko,
aam logo ki fikar ko,
aam logo k khayaal ko
apni marzi se jab chaahain jesay chahain dhaal dete hain ...in saancho me...
or aam logo ko apniyat se ,apni soch ,apni fikar se mehrum kar diya jaata hai.
Sign In
to know Author
- Anonymous