Uss mukamaal jahan ki talash to sabko hoti hai,
Kya haar koi paa payega use?
Ek chote se khilone ke liye ek nanhi pari roti hai
Kya koi chup kara payega use?
Ye sawaal uski ruuh ko cheer jate hain,
Kyu? Ye samjha payega koi use?
Kaun ho tum? Astitiva kya hai tumhara?
Mitti ke dhaanche ko ek pyari shakal mein maadh diya,
Kya wo ho tum? Ya jis rang ke ho, wo hai tumhari pehchaan?
Zindagi bhar jo sabne sikhaya, ye sahi aur wo galat; asal mein aaj wo ho tum
Tum ho ek asmanjas,
suljhaa koi paya nai ab tak wo ek paheli ho tum
Ye aisa ek modd hai zindagi ka, rukh badal sakta hai
Ek pal thehro, saans to lo , Khud ko pehchano aaj zara
Bhaag rahe ho kiske peche? Wo sapne kya tumhare hain? Nahi, nahi, kabhi nahi,
Wo sapne tumhare zehen mein kisi ne utare hain
Kis daaud ka hissa ho tum aaj ye taay kar lo,
Zindagi mein kuch paana hai ya kuch kar jaana hai; aaj ye samajh lo
Khud ka saamna kar pao itni himmat aaj jutao
Khud ko pehchaano mere yaaron
Apni khud ki ek astitva banao
Kya rakha hai kisi aur ke sapne mein,
Wo kabhi jo tumhare the hi nahi
Kisi aur ki galtiyan tumhari nahi
Tum kisi aur ke liye zimmewaar nahi
Dekho khud ko seeshe mein
Apne sapno ko jhuklao nahi
Jaago apni neend se, Saamna karo sachai ka
Meri baton ki gehrai ko jano, Samjho nazaakat waqt ka
Apne sapne khud chuno, Thaano pura karne ki
Khud ko khush rakhna pehle seekho, Tab sochna baaki duniya ki.