Kaagaz ke tukdon se, rishte hain bikhre hue
Chun le tu inmein se, koi ek apne liye

Tu jab anjaan raahon se guzre, anjaan manzil ki ore
Thaam lena apne dil ko, kheechna mann ki dor

Tanhaai ke kuch pal, kuch log baant rahe hain
Kisi apne ki talaash mein, zindagi kaat rahe hain

Tu aaj tanha hai agar, to iski ek wajah hai
Intezaar ka bhi apna, ek alag hi maza hai

Kuch log rishton ki chaabi, ghar chhod aaye hain
Naye chehron ki talaash mein, apno se muh mod aaye hain

Kisi se bhi tu, mohabbat na kar baithna
Hai kaun tera apna, zara aankh kholkar dekhna

Shohrat ke laalach mein aksar, log apno ko bhool jaate hain
Maine dekha hai ki unke, sapne bhi rooth jaate hain

Apna le tu usko, jo baahein phailaaye khada hai
Mujhse poochho tanhaai ka, sadma kitna bada hai

Sign In to know Author