Vo Parinda jo kuch samay pehle is pinjre mei kaid hua karta tha aaj aajad hai….
Jo Udne ko tarasta tha,uske liye ye aasmaan bhi aaj chhota hai,ek udaan ke liye….
Suraj jise vo roz subah nihara karta tha aaj uska lakshay hua karta hai…
Aasman ki unchaiyon ko chuta aaj vo use paane ko beetab hai….
Aaj laga pinjre ka parinda khilone sa hai,Asli khel to jindagi ka hai….
Vo cheeke us pinjre mei aaj bhi kaid hai, Jo baar baar mujhe sharminda karti hai….
Aur keh jaati hai, Pinjre Ke Parinde Aksar aasmaan choo jate hai bas ek udaan ke der hai,
Ye mann ka pinjra kholne ki der hai….
Sign In
to know Author
- Anonymous
Comments (6 so far )
MANVI GUPTA
awesum :)
November 1st, 2012
Author
Thanx!!
November 1st, 2012