Ek baar ki baat h
Ek pakshi ko ek pinjra dikha
Bahoot suna tha pnjra k baare me
par dekha pehli baar tha
Auron ko dekha bhi tha usme kaid hote
kuch ko usme dum todte
aur kuch ko
jaan bacha kar baahar aate
Soochta tha ki pinjra
buri cheez h
bachna chahiye
rehna chahiye door
par jab uski baari aayi
wo khud ja kar usme baith gaya
na kisi ne kaha na kisi ko bataya
na jaane kyon aisa junnon aaya
Kuch logo ko jab pata chala
wo hairaan hue pareshaan hue
dekha giri hui nazron se
bole jo hua bahoot galat hua
usko ghumman bahoot tha
apni samajhdaari par
apni hoosiyari par
sabko moorkh samjhta tha
par aaj jab wo pinjre me kaid tha
tadap rha tha din raat
muskura kar kehta sabko
arre main to theek hun
logon ne pinjra todne ki koshish ki
thodi madad to pinjra banane wale ne bhi ki
logon ko pata tha ki wo jhooth bol rha h
dard me h par dhuan ghol rha h
din beete maheene beeta saal beet gaye
saare pakshi apne ghar ko laut gaye
ab wo rooz pinjre se baate karta h
apne marne ki minnate karta h
ek baar pinjra banane wala aaya
poochha tum abhi bhi yahin ho?
mujhe ye pinjra khali chahiye
atki hui phaas dil se saaf chahiye
wo to khud uski aas me tha
soocha tha chaabhi hogi uske paas
par pinjra wala to khud hi
door se hi sahi par pinjre bandha h
tabhi to kuch saalon me
har baar aata h
kehne to use bhi h bahoot kuch
par kuch keh nahi paata h
khuda se ppocchta h wo aaj bhi
har pal to nahi par phir bhi kabhi kabhi
kyon aise pinjre banaye jaate h
jo dikhte nahi par phir bhi nibhaye jaate h
kaid ki umr k saal ab unglion par nahi gine jaate h
riha karo reham karo
khuda bas ab bahoot hua
tukde khud k ab nahi chune jaate h
jaan gaya wo
maan gaya h
ab to lagta h bas maut hi pinjre ko tod paayegi
maut hi ab inn dono ko riha kar payegi