Kisi ajnabee se poochha jab apne ghar ka pata
Mere sawaal ke saath hi khamoshi behne lagi
Kuch der baad mere shaane par haath aakar tika
Wo haath aaya to tha mere shaane par ek apnepan ke ehsaas se
Par wo sakht tha, pata chala jab us haath ne mujhe dhakka de diya
Shaayad us shakhs ke raaste mein aa gaya tha main
Ab akela hi chal pada hoon talaashne apna ghar
Aankhon mein chand chamakte sitaaron ko saath liye hue
Kyun nahin dikhti mujhe wo kacchi sadak
Jahaan chalte chalte mere kadam jawaan ho gaye
Nukkad pe khadi wo paan ki dukaan bhi yaad hai
Jahaan kone mein pada ek cigarette ka dibba
Hamesha mera intezaar karta tha
Main aata tha, kuch mol bhaav ke baad use le jaata tha
Aur phoonk deta tha usmein apne saare shikve
Mohalle ke makaano se aati phoolon ki khushboo
Ab bhi chali aati hai mujhse milne ke liye
Par sab hain kahaan par? Kyun sab laapata hain?
Mujhko ehsaas bhi nahin ki main kahaan hoon
Ek arsa hua aankhon ki roshni ko ojhal hue
Koi to bata do, mera ghar kahaan hai?