Kisi roz khwaab mein dekha tha us pari ko
Wo dikhi thi subah mein dhoop jaisi
Phaili hui dil ki zameen par
Wo baithi thi saamne ek ada ke saath
Jaise kisi ne taraasha ho use
Raat ki jo chaandni chhaati hai andheron mein
Wo chandni wahi to hai
Likh sakoon jise main kore kaagaz pe
Wo ghazal wahi to hai
Roshni jo arsh se aati hai dilon tak
Wo roshni wahi to hai
Main sochta hoon ki kaun hai woh?
Kahaan se aayi hai?
Kya naam hai uski duniya ka?
Main poochhta hoon naam usse
Kisi anjaane ki tarah
Wo has deti hai bas aur bas itna kehti hai
Ki milegi wo ek haqeeqat banke
Aaj subah dekha tha use
Baithi thi apni usi ada se
Zulfon ka ghana andhera liye
Aur mere dil ne kaha mujhse
Ki ise maine hi taraasha hai
Tags:
Sign In
to know Author
- FAROOQ JAMAL