Hello everyone. This is just an excerpt from a book i am writing. But its dedicated to my dad and may be everyone's dad coz we all might find something in it to relate to.

Speaker mein bajte gaanon mein dhun thi lay thi sab kuch thi par naa jane kyun bheeegi si girti uss barish mein wo saawaan yaad aa jaata tha. Jab main aur mera bhai Papa ka purana Record player bukhari se nikaal laaye the aur unke puraane khajaane mein se record bajaya karte the. Wo geet jo kabhi sune bhi na tha humne aur kuch jo aksar Papa ko hi gungunaate suna karte the, sardi ki subah jab wo school ke liye jagaane aya karte the.

5 saal ka tha tab main shayad. Wahan sheher mein kya kadake ki thand pada karti thi. Barf padti hi naa thi bus, par har raat rajai ke andar dubak ke sone ka apna alag hi maja tha. Subah ko jab suraj ugta to Papa kaise gowd mein utha kar balcony me le jaaya karte the. Mere haathon ki mutthi bana ke dheere se apne haathon me samet lete aur fir ik kalakari dhang se ungli ko kuch aise maarte uss mutthi pe ki dhol ki si awaaj ane lagti. Fir kaanon mein ek seeti ki awaaj mein koi geet gaane lagte. Dheere se angdayi leta suraj ugta, jaise papa ki seeti sunane ka hi intezaar kiye baitha ho. Main dheere dheere apni ankhen kholta aur saamne daudti bijli ki nangi unchi taaron par baithe hare rang ke toto ke jhund ko niharta rehta.

“Vik, School nahi jaana aj ? “ Bade pyaar se papa puchte. Kahan main sochta, ki aaj to Papa se ladke school na jaunga par, Papa ke laad-pyaar ne bigaadne ke jagah mujhe sudhaar jo diya tha. Kisi mantra ke vashibhoot but sa main unki gowd se uth khada hota aur daud ke taiyyar hone lagta.

Scooter par bitha ke Papa mujhe bus stop tak chod aate aur fir ussi talleen rawaiye se har roj ki tarah dukaan ko chale jaate. Na jaane kitni subah aisi hui jab mere aalsipan ke chalte main school bus nikal jaane diya karta aur fir majboor hokar Papa ko mujhe school tak chod ke ana padta. Par shayad hi koi din raha hoga jab unhone mujhe iss baat par daanta ho. Gale mein muffler lapete, ek patla sa jacket pehne ek patla sa payjama pairon me daal kar poos ki subah mein mujhe 6 km dur sheher se bahar school tak le jaate. Har baar scooter se utarte samay unki ankhon mein thand se bhar aaye paani ko dekhta aur laal pad gye chehre ko dekhta aur khud ko waada karta ki ye paani kabhi aasu na banane dunga aur iss fatichar scooter ke badle unh ek gaadi lekar dunga.

Har nadaan bachche ke jaise main bhi bahut kuch kar dena chahta tha apne Papa ke liye.

Har Mangalwaar Papa ki chutti hua karti thi aur main sham ko unke saath bus stand ke paas hi Sheron waali maata ke mandir jaya karta tha. Chappalein Bahar khol ke Papa ke peeche jata aur unke bagal mein jake khada ho jaata. Jaldi se bhagwan ko apni ichchayon ki saari list gina kar Papa ko dekhne lagta. Papa har baar ki tarah kuch dheere dheere gaate rehte aur main unke haathon ko kabhi sajde mein judte to kabhi kuch maangne ki iccha se khulte dekhta.
Na jaane aisa kya tha jo wo maang lete the har baar bhagwaan se. Gaadi, ghar, paisa to unki list mein nahi tha iss baat ka mujhe yakeen hua karta tha. Jo aisa kuch hota to hum itne saalon tak scooter par baith ke naa ate mandir.
Aksar unse puch liya karta ki aapne manga to kya maanga aur hans ke bus itna keh dete ki tere liye khushiyaan.
“Aap Maruti kyun nahi maangte bhagwaan se? “
“Maruti aegi to khush hoga tu? “ Papa palat ke hamesha yahi kehte aur main haami mein sir hila deta.
“Theek hai agli baar fir Maruti hi Mang lunga? Khush ab? “

Tab itna sun ke hi khush ho jaya karta tha. Aur har mangalwaar issi ummed me unke saath scooter pe baith kar mandir tak ho ata tha ki kisi mangalwaar shayad Maruti mein bhi aa paunga.
Na jaane kyun khud pe yakeen tha ki meri iccha puri na hogi, par itna bhi yakeen tha ki Papa ki iccha ko taal de to wo bhagwaan bhagwaan nahi.

Dhere dheere jo samay beeta to main bhi badhta chala gya. Papa ko aksar shave banate dekhta. Unki shaving kit khol ke dekhne ka apna alag hi maja hota tha. Ek chota sa sheesha, ek nanhi si kenchi aur laal rang ki plastic ki “oldspice “ ki bottle. Na jane kab se uss bottle ko dekhe jaa raha tha main. Kitni hi hamam ki sabun to badli bathroom mein par wo bottle kabhi khatm hote nahi dekhi maine. Papa aksar shave karne ke baad apni robili muchon par taav diya karte.
Papa ki Muchon ka bhi apna alag hi kissa hai. Unhe apni muchon se bada hi pyaar hai, bachpan mein unki muchon ko haath lagane ki alag hi laalsa hoti thi mann me. Chupke se haath lagane lagta to papa nakli gussa dikha kar mujhe jhidak diya karte. Aur ye naakaamiyab koshish mere andar ki jigyaasa ko aur prabal kar deti. Maa hamesha kehti thi ki tu muche na rakhna. Khair yahi ek jagah thi jahan apni maa ki baat maine maani bhi aur nahi bhi mani.

Ladakpan ki umr tak pahuchte pahuchte maine bhi choti choti muchon ko taav dena chalu kar hi diya tha. Aksar jab kamre mein koi na hota tha to sheeshe ke samne khade hokar ghanto apni muchon ko niharta rehta. Malaal hota to iss baat ka ki Papa ki tarah Robili na thi. Aur ek din gusse mein aakar maine wo saaf hi kar di.
Bachpan ke raste kab ladakpan ki seedhiyon mein badal gye maalum hi na chala. Bahut kuch badla iss raste mein par ik cheez na badly. Class Top karne ki meri aadat. Padhne ka shauk na jaane kaise mujhme aaya, par jab se school jaane laga har saal bus ek hi baat jaani ki first ana jaruri hai. Har mahine jab apna report card Papa ke haath mein thamata aur unke chehre pe padti subah ki kiran si muskurahat ko dekhta to lagta jaise kuch paa liya. Ek ummeed si dikhne lagti unki aankhon mein, Ek ajab khushi jaise unki maangi koi muraad puri ho aayi ho.

Sign In to know Author