Dayan….!!
Apne wujood ki taarikiyon mein
tanha bhatakti hui dayan…!!
Jaisey apne hi zeest k ujaar khandaron mein qaid
sisaskti hui koi afreeyat…

Banjar baharon mein
khizan ki tarah ris ris kar gardish karti
veeraan maazi ki tahon ko khurachti…
Apni vehshat-zada phati phati
surkh magar zard aankhon se waqt ki rahdariyan tatolti…
Jaise rihaee talaash karti…
Kisi afreeyat ki manind woh achanak ojhal hoti
tau kisi bujhi hui mash’al ki tarah yakaayak bharak uthti…

Daro mat…!!
Woh meri dayan!!
chand kirchiyon mein bikhri hui
khoobsurat guriya ki tarah haseen dayan…

Woh meri Pari thi…!!
Jiske haseen paron ko taqdeer ki aanch ney jhulas kar
usay manhoos dayan bana diya tha…
Magar woh phir bhi haseen rhi…
Bohot haseen…
Meri aur apni gird aalood boseeda varqon mein bati kahani ki tarah haseen ….

Sign In to know Author