♥ Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein,
Use Uski Saheliyon Ne Sajaya Hoga ♥
♥ Meri Jaan Ke Gore Haathon Par,
Sakhiyon Ne Mehndi Ko Lagaya Hoga ♥
♥ Bahut Gehra Chadega Mehndi Ka Rang,
Us Mehndi Mein Usne Mera Naam Chupaya Hoga ♥
♥ Reh Reh Ker Ro Padegi, ;(
Jab Jab Usko Khayal Mera Aaya Hoga ♥
♥ Khud Ko Dekhgi Jab Aaine Mein,
To Aks Usko Mera Bhi Nazar Aaya Hoga ♥
♥ Lag Rahi Hogi Balaa Si Sunder Woh,
Aaj Dekh Ker Usko Chaand Bhi Sharmaya Hoga ♥
♥ Aaj Meri Jaan Ne
Apne Maa Baap Ki Izzat Ko Bachaya Hoga,
Usne Beti Hone Ka
Doston.. Aaj Har Farz Nibhaya Hoga ♥
♥ Majboor Hogi Woh Sabse Jyada,
Sochta Hoon Kis Tarah Usne Khud Ko Samjhaya Hoga ♥
♥ Apne Haathon Se Usne
Hamare Khaton Ko Jalaya Hoga,
Khud Ko Majboot Bana Ker Usne
Apne Dil Se Meri Yaadon Ko Mitaya Hoga ♥
♥ Toot Jaayegi Tasveer Meri,
Jab Uski Maa Ne Tasveer Ko Table Se Hataya Hoga ♥
♥ Ho Jaayenge Laal Mehndi Waale Haath,
Jab Un Kaanch Ke Tukdon Ko Usne Uthaya Hoga ♥
♥ Bhooki Hogi Woh Jaanta Hoon Main,
Kuch Na Us Pagli Ne Mere Bagair Khaya Hoga ♥
♥ Kaise Sambhala Hoga Khudko,
Jab Usne Fairon me Khud jalaya Hoga ♥
♥ Kaampta Hoga Jism Uska,
Haule Se Pandit Ne jab Haath Uska Kissi Or Ko Pakdaya
Hoga ♥
♥ Main To Majboor Hoon Pata Hai Use,
Aaj Khud Ko Bhi Bebas Sa Usne Paaya Hoga ♥
♥ Ro Ro Ke Bura Haal Ho Jaayega Uska,
Jab Waqt Uski Vidayi Ka Aaya Hoga ♥
♥ Bade Pyaar Se Meri Jaan Ko
Maa Baap Ne Doli Mein Bithaya Hoga ♥
♥ Ro Padegi Aatma Bhi,
Dil Bhi Cheekha Or Chilaya Hoga ♥
Aaj Apne Maa Baap Ke Liye
Usne Gala Apni Khushiyon Ka Dabaya Hoga ♥
♥ Reh Na Paayegi Juda Hoker Mujhse
Darr Hai Ki Zehar Chupke Se Usne Khaya Hoga ♥
♥ Doli Mein Baithi Ik Zinda Laash Ko
Char Kandho par Kaharon ne uthaya hoga ♥