sab kuch tou mila hai phr bhi nashukri hai,
zindagi, maa-baap, bhai-behen phr bhi nashukri hai,
khushi, mohabbat, izzat phr bhi nashukri hai,
khana-pina, kapde, padhai phr bhi nashukri hai,
dost, hasi-mazaak phr bhi nashukri hai,
nauri, car, bank account phr bhi nashukri hai,

zindagi k har kadam par aage badhna tou seekh liye lekin ek lamhe ko theherkar shukr ada karna na seekha,

khwaab tou aankhon me bhut bade-bade saja liye, lekin unhe pura krne k liye himmat aur rehmat mange k liye waqt na mila,

sab kuch tou mila hai "MAULA" teri hi rehmat se, aab sar jhuka kar tera "SHUKR ADA KARNA HAI".....

Sirf zarurat k waqt hi tujhe yaad kiya hai, ab har lamha tere pehlu me sar jhukane ka waqt hai..

Jo ho gayi galtiyan unhe maaf farma, ab deekh tera ye banda tere saamne khada hai.......

Tags: Literati

Sign In to know Author