........tuh rahe hamesha paas bankar meri khaas,
kehta hoon tujhse bar-bar
yeh aasha, yeh umeed se
ki kabhi toh tuh aaye mere paas aur kahe
NAHI BHULI MAIN TUJHE!!!
Ajib hain yeh dastaan hamari
tuh aage, main tere peeche
isliye kehta hoon tujhse
kabhi toh saath chal aur keh mujhse,
NAHI BHULUNGI MAIN TUJHE!!!!
Apsos yahi hain
ki nah tuh aur nah tera saath hain
par kaise main bhulu tujhe
tuh ek yaad hain
bata kaise nah yaad karoon tuhje
jab tuh hi kah gayi
NAHI BHULNA MUJHE!!!!
Hain tuh aankho mein,
hain tuh dharkan mein,
hain tuh saanso mein,
yeh kaha tha tuh ne mujhse,
phir kyun bhulakar chod gayi mujhe,
par main na bhula paya tujhe,
phir kehta hoon tujhse,
NAHI BHULUNGA MAIN TUJHE!!
Ab nah hain tuh,
nah teri muskaan,
nah teri mastiyaan,
nah tera satana,
hain toh sirf teri yaadein,
inhe kaise bhulanyu main,
aaj phir kehta hoon main,
NAHI BHULUNGA MAIN TUJHE, nahi bhulunga mein tujhe!
NAHI bhulunga TUJHE............