aaj dekho insaan ke beech nafrat ki deewaar hai,
khoj raha aman ko todne ke liye hathiyaar hai.
jal rahe hain ghar yaha, apne hi dushman ban gaye
nafrat ki is aab-o-hawa me jeena ab dushwaar hai.
khaali hota ja raha hai wo mohabbat ka samandar
isko bharne ke liye ek saawan ka intezaar hai.
koshishe to bahut ki par ho raha hai kam asar
manzilon ki raah me kaante kai hazaar hai,
har taraf hai dard,har taraf hai zakhm yahan par.
zakhm bharne k liye ek marham ki darkaar hai.