aate toh hain ashq gham ke waqt, inki chamak na jaan paya koi...
log kehte hain shayari ki kalam hai humare paas, iss shayar ko na pehchaan paya koi...!!!
irshaadon ki taali se khushi jhalki logon ki, shayar ke andar iss insaan ko na jaan paya koi...
hum bhi muskura diye uss mehfil me, mere uss muskaan ki wajah na jaan paya koi...!
uss rookhi muskaan me chipi thi kuch ashqein, jo kisi ki yaadon ki amanat hai...
pehchaan toh humare shayari ki unko bhi hai, par iss shayar ko na pehchaan paya koi...!!!
pichli galtiyon ka zikra le aayi thodi nami humare aakho me, par humari maafi ko na jaan paya koi...
uss bhari mehfil me unki yaad le aayi halki muskaan, ab bhi kahoge ki iski wajah na jaan paya koi...?
muskaan bhi aayi aur aakho me nami bhi, tabhi toh woh hain humare liye khaas...
unki har ehsaas pe banti hai ek shayari, bas iss shayar ko na pehchaan paya koi...!!!
nashe me doob ke banayi thi logo ne woh mehfil, humare nashe ko na jaan paya koi...
bin nashe ke shayari nahi ki ja sakti, humare nashe ki madira ko na jaan paya koi...!
nashe me kyu jeena chahtein hain log iss ek zinagi ko, bin nashe ke zindagi bhi nahi kholti yeh raaz...
hum bhi nashe me sabhi raaz khol dete hain shayari ke zariye...kya iss shayar ko na pehchaan paya koi...???
humari har shayari kuch isharein karti hain unke taraf, unn isharon ko na jaan paya koi...
aji humari shayari hi kuch aisi hain ki pehchaan na pao, par iss naadan se shayar ko na pehchaan paya koi...!