Yahan samandar ki lehron ko apni or badhte dekhti hun toh,
Tumhara na hona mujhe khaye jata hai..
Itni saari ichchayen ek saath uthti hain mann mein,
Aankhon se ek aur samandar sa nikla jata hai..
Pata nahi tum kab aaoge..
Kab mujhe seene se lagaoge..
Mujhe yahan ret me ek ghar banana hai,
Tumhare saath milke use sajana hai..
Samandar ke kinaare baithkar tumhare saath bhutta khana hai..
Tumhara haath pakadkar lehron ke beech me jana hai..
Lehron ke shor ko hara de, itna shor karna hai..
Mujhe tumhara haath abhi, isi waqt pakadna hai!
Aasman ke us paar ke swarg ko dharti pe laana hai..
Mujhe aasman ko itna niche jhukana hai..
Pata nahi tum kab aaoge..
Mujhe tumhe kaskar gale lagaana hai..
Yun hi kavita badhti jati hai,
Yun hi waqt guzarta jata hai..
Akhir me bas yahi khayal reh jaata hai..
Mujhe yahan ret me ek ghar banana hai,
Tumhare saath milke use sajana hai..