Mujhe har waqt, har lamha, teri yaad sataati rehti hai,
Roz jo na katti hai wo raat sataati rehti hai.
Jo tu mujhse milne haste hue aati hai,
Sangeen se lamho mein bhi gudgudi kar jaati hai,
Har ek pal ko apni khushboo mein piro kar laati hai,
Wo har ek pyari si pyaari si mulakaat sataati rehti hai.
Mujhe har waqt, har lamha, teri yaad sataati rehti hai,
Roz jo na katti hai wo raat sataati rehti hai.
Jo kabhi bayaan na kar paaun wo dastaan hai tu,
Meri khushi, meri zameen, mera aasmaan hai tu,
Chaahoon kehna tujhse kayi baatein kahaan hai tu?
Meethi si aawaaz mein apni tu baatein bataati rehti hai.
Mujhe har waqt, har lamha, teri yaad sataati rehti hai,
Roz jo na katti hai wo raat sataati rehti hai.
Tujhme hi hai ab wajood mera kahin chhupa hua,
Khuda bhi mera tujhe hai dekh kar tujhpe fida hua,
Rooh mein har dum kahin tu hai basa hua,
Jo bhool na paun main tu wo raag sunaati rehti hai.
Mujhe har waqt, har lamha, teri yaad sataati rehti hai,
Roz jo na katti hai wo raat sataati rehti hai.
Maut bhi aa jaaye toh saath tera na chhodunga,
Aakhiri nazaara tera hoga warna saans ye na todunga,
Zikr hoga jab bhi tera toh baat yehi bolunga
Khabar nahin tujhe tu mujhe behtar banaati rehti hai.