Prem ki galiyon mein bhatakta ik bikhaari..
Prem ki ginniyon ko tarasta ik bikhaari..
Prem ki galiyon mein bhatakte do bikhaari..
Pichle mod par kisi ne uske katore mein do ginniyaan daali thi aaj..
Pichle mod par kisi ne uske katore mein do ginniyaan daali thi kal..
Ik chalta hua aaj uss chowk tak pahucha jahan kal ik pehle se khada tha..
Ek dusre ko ankhon ki kinaariyon se dekh kar jalte hain ab ye 'ashiq'
Dono ke katore mein 'bewafa' ki di do ginniyaan hain bus..
Ik intezaar mein hai kuch aur paane ki..
Ik intezaar mein hai,jo hai usko gawaane ki..
Chowk par zamaana khada dono ki khilli udaata hai..
Kisse hain dono ke jo kaano mein apne kehta jaata hai..
Bikhaari, awaara, banjaara , ashiq kis kis naam se unhe bulaata hai..
Ek zamaana uss pichli gali mein qataar mein khada hai..
Aur 'bewafa' uss katore mein do ginniyaan daal aaj bhi muskuraati hai..
Chowk par dino dino ab bikhaariyon ki Qataar badhti jaa rahi hai..
Kaun Zamaana , Kaun bikhaari inki duriyaan ghatati jaa rahi hai..
Kaun khud ko kahan paata hai? Iska jawaab hai kisi ke pass..
Chodo chalo jaane do.. Wo dekho..
Zamaana bikhaari ko dekh.. Bikhaari zamaane ko dekh muskurata hai..