Aaj do saal baad bhi main khud sekabhi kabhar yeh puchta hu ki meri galti kya thi jo vo mujhse bina kuch kahe chupchap mujhse bahut duur kar chali gyi.
Do saal baad ab shaayad vo mujhe bhul gyi hogi magar aaj me usse ekk baar milna chahata hu,usko ekk baar dekhna chahata hu.
Main aur sonali tution me saath padhte the, jab vo pehli baar tution ayi thi use dekhte hi meri dhadkane tezz ho gyi thi, use dekhkar mujhe bahut acha lga tha aur najaane kyo me usse apni nazar nhi htaa paa rha tha.
Kuch waqt baad hum dono dost ban gye, vo jab bhi aati thi toh muskurake mujhe dekhti aur hello kehti aur main usse pagalon ki tarah dekhta rehta jab vo mujhse puchti, kya hua main bas itna hi kehta, kuch nhi.Mera adha time use dekhte hue hi nikal jaata tha.
Main ghuma phera ke apni dill ki saari baatein usse keh deta aur vo hamesha muskurake chali jati thi.
Jab bhi me uske saath hota tha toh sochta tha ki yeh waqt yhi rukk jaye, jab bhi vo Ayush bolti mujhe bahut acha lagta tha, mujhe uske saath waqt bitana bahut acha lagta tha mujhe use hasaana bahut acha lagta tha main apne doston ke saath milkar paglon wali harkate karta tha use hasaane ke liye pta nhi kyo par mujhe bahut acha lagta tha jab vo hasti thi, magar jab vo nhi aati thi tab sabse shaant main hi bethta tha kisi aur se baat karne ka mann hi nhi karta tha.
Jab bhi mera mann usse apni dil ki baat btaane ka karta toh main apni notebook ke piche likh deta aur main usse pyaar karta hu yeh bhi maine apni notebook ke piche likha tha,main nhi chahata tha ke yeh usse ptaa chale kyonki main janta tha ki yeh sahi wat nhi hai, use acha nhi lgega.
Feb ka month tha session end hone waala tha. Ekk din main chutti ke baad sonali ke saath uske ghar tak gya stationary ka bhaana marke, maine usse pucha ke ab tum kitne din aur aogi usne kha shaayad 2-3 din.Mera mann tha use btaane ka ki main usse pyaar karta hu magar maine nhi btaaya kyonki vo mujhe apna ekk bahut acha dost maanne lagi thi bas aur main nhi chahata tha ke yeh jaankar vo mujhse dosti bhi tod de. jab uska ghar aaya toh usne palat kar dekha aur muskurayi.
Magar uss din ke baad vo tution kabhi nhi aayi vo 12th me thi aur me 10th me mujhe laga ke ab hum kabhi nhi milenge.
mera jab bhi usse milne ka mann karta toh main uske ghar ke niche jaker khada ho jaata magar vo kabhi dikhi nhi, mere saath mere dost, ajay aur dipen bhi hote the vo mere ache dost hai aur unhe sab ptaa tha.
Phir mughe sonali facebook par mil gyi actually mere doston ko aur phi main aur sonali phir se milgye main use aryaji bolta tha. Hum dono aur ache dost ban gye vo mujh par trust karne lagi thi jo main kabhi tootne nhi dena chahata tha aur main toh usse phele se hi pyaar karta tha magar tab bhi maine use kuch nhi btaaya tha main darta tha ke khi vo mujhse naaraz hoker chali na jaye. Main ussse bahut pyaar karne laga tha.
Main use dill se chahane laga tha, kabhi kabhar main sochta tha ki main apni saari zindgi uske saath bitaa lu. Ekk din main aur dipen uske ghar ke aage se jaa rhe the vo apne ghar ki chatt par yellow dress me khadi thi bahut sunder lag rhi thi, maine zor se haath hilaaya aur vo muskuraati hui chali gyi.
Uss din main bahut khush kha, vo vaise hi muskuraake gyi thi jaise tution me jaati thi. Magar uss din ke baad jab maine apni fb chalayi vo meri friend list me nhi thi main darr gya maine use dubaara friend request bheji toh uusne accept nhi ki. Jab maine use msg kiya ke yeh sab kya hai toh usne koi reply nhi diya.
Main bahut pareshaan tha main jaanna chahata ki yeh kya ho rha hai, maine bahut socha magar mujhe kuch yaad nhi aaya, magar main janta tha ki kuch toh baat hai vo mujhse bina kisi vajeh aise naraaz nhi ho sakti. Bahut waqt ho gya usne meri ekk baat ka jawaab nhi diya.
Phir ekk din maine use msg kiya ki tum mujhe bas itna btaa do ki tum mujhse naraaz kyo ho, uska reply aaya ki mujhe ptaa chal gya hai jo tumne apni test notebook ke piche likha tha. Mujhe kuch yaad nhi aaya maine pucha ki konsi notebook aur maine usme kya likha tha.
Vo boli yhi ki tum mujhse pyaar karte ho, main nhi jaanti thi ki tum merebaare main yeh sab sochte ho. Tab mujhe yaad yaad aaya ki jiss notebook me maine yeh baatien likhi thi usme maine sir ko ekk test diya tha aur shaayad usko yeh baat sir ne btaayi hogi.
Maine use manane ki bahut koshish ki, use bahut samjhaya meri ankhon se aansu aa rhe the main usse duur nhi reh sakta tha magar usne meri ekk na suni aur boli ke aaj ke baad mujhse baat karne ki koshish mat karna mujhe tumhaari dosti bhi nhi chahiye. Vo boli tum hamesha khush rehna, bye.
Main uss din bahut roya tha main paagal ho gya tha, jo baat maine do saal se chupayi vo use ptaa chal gyi. Vo mujhse naaraz ho gyi.
vo keh kar gyi ki hamesha khush rhena, magar kaise...........
Maine ekk baar baat karne ki koshish ki magar kuch fayda nhi hua. Sab kuch aise khatam hoga main nhi jaanta tha. Main jab bhi uss tution ke saamne se jaata hu toh mujhe sonali usse bhar nikalti dikhti hai.
Maine use bhulaane ki bahut koshish kii, main ekk diary me uske baare me likhta tha jo bhi main usse kehna chahata tha, maine usse jlaa diya, maine apni notebooks ke piche wale pages jin par maine uske baare me likha tha vo sab phaad diye, main apni notebooks me uska naam likhta tha vo bhi kaat diya.
mujhe lagaa yeh sab karunga toh shaayad uski yaad nhi aayegi magar ab bhi mujhe uski bahut yaad aati hai.
Mujhe uski ekk baat humesha yaad rehti hai jo usne mujhse boli thi ki hamesha khush rehna aur isliye main jab bhi kisi se milta hu muskuraake milta hu. Jab vo mere saamne hogi tab main usse kya bolunga yeh main nhi jaanta magar itna zaroor jaanta hu ki use bhi main muskuraake hi milunga.
Aaj jab bhi main uske baare main sochta hu toh sirf ekk hi khayaal mann me aata hai ki "Meri galti kya thi".