Main baitha hoon usi takht pe
Jahaan meri dadi kabhi gaddanasheen thi
Reshmi silvaton ko uljhaati wo
Khud hi se baatein kiya karti thi
Aankhon mein jaise koi sitaara tha basa
Roti thi jab to chamakta tha wo
Main leta hoon usi bistar pe
Jispe bichhi chaadar aaj bhi
Khaamoshi se meri dadi ko
Pukaara karti hai
Aur mujhse unka haal
Aksar poochha karti hai
Main khada hoon usi chaukhat pe
Jahaan se kabhi
Meri dadi ke tajurbon ka
Kaarvaan guzra tha
Jahaan aaj bhi
Unke kadmon ke nishaan
Uss chaukhat se guftagoo karte
Dikhaai de jaate hain
Main aaj dekhta hoon unki tasveer jab
To unki siskiyon ki awaazein
Mere kaano mein sargoshi karti hain
Un narm ungliyon ko aaj bhi
Thaamne ki chaah hoti hai
Main dekh raha hoon usi asmaan ko
Jisse aankhein milaate hue
Meri dadi ne aakhiri baar
Muskuraa kar mera naam liya tha