Mana ki tu is jahan me par har pal mere aks me hai maujudgi teri
Tu ja chuka hai aisi duniya me chhorke hume jaha se koi kabhi aaya nahi
Sab kehte hai tha sath tera-mera bas kuchh barshon ka magar tu to mere god me khela tha
Tu raste me akela chhor gaya hai magar humne ek-duje ke hathon ko thamke chalna sikha tha
Bahut samjhata hu khud ko maan lu duniya ki baten ki tu chala gaya hai sath chhorke par meri aankhe hai ki har tinke me teri surat dhundhti hai
Jab bhi chahta hu kisise mai khub laru bas tera yaad mujhe aata hai...!
Chahe duniya kahe tujhe mera sathi mera dushman par tu humari parchhayi mera bhai tha !
Tags:
Sign In
to know Author
- JITENDRA SINGH