Kahin door aasmaan mein
Panchhi gungunaate honge
Kabhi waqt se bandhe insaan
Ab azaad ghoomte honge
Mera khyaal hai ki ab
Log jaagte honge
Masroofiyat bhari zindagi se
Door bhaagte honge
Kahin naachte jhoomte log
Khushi baantte honge
Kabhi beemaar pade buzurg
Ab khul kar haste honge
Kahin nakaami ke baadal
Ab door hat te honge
Mera khyaal hai ki ab
Log sunte honge
Kisi ki pukaar aur
Amal karte honge
Kabhi gumnaami mein qaid naam
Ab kahin likhe honge
Kabhi duniyadaari ke saaye se
Log alag honge
Mera khyaal hai ki ab
Log fanaa honge
Watan ke ishq mein choor
Khud se juda honge
Tags:
Sign In
to know Author
- FAROOQ JAMAL