Chaand pe baitha ghoonghat, teri masoomiyat chhupa raha hai
Os pe baithi mehndi, tere haathon ko saja rahi hai
Main khada in sabzon ke nazaare dekh raha hoon
Jinhone ab tere, daaman ko bacha rakha hai
Mehlon mein rehne wali, koi apsara ho tum
Aankhon mein basne wala, koi khwaab ho tum
Dhadakti ho mere dil mein dhadkan ki tarah
Mere har geet ka saaz ho tum
Hai tere labon se zinda, gulaabon ki surkhi
Tum noor ho koi, aftaab ho tum
Aankhon mein utarta sharaab ho tum
Karte hain teri pooja, ye chaand ye sitaare
Tumhein nahin maaloom, lajawaab ho tum
Apni aankhon ki dhundhli parton ko
Zara hata kar to dekho
Mere dil mein ek dafa
Zara jhaank kar to dekho
Hai tamannayein kai dafn, mere dil ki zameen mein
Hai kai raaz adhkhule, aankhon ki nami mein
Tere gaalon pe aayi wo namkeen parat, zara hata to doon
Tere baalon mein khyaalon ke gajre, zara saja to loon
Aankhon se teri padhoon saare afsaane humaare
Hothon se gaaun kai taraane humaare
Meri humnafas mujhe tera intezaar hai
Dil kehta hai ise sirf tujhse pyaar hai
Comments (5 so far )
@dr. sachidanand: Thanks :)
@shambhavee: Hehehe thanks :)
@harsh: hahaha shukriya ;)